Birthday boy Ayushmann Khurrana is turning 37 years old today and it’s only safe to say, the actor ages like fine wine.
Check out 10 beautiful pieces of poetry we found, all written by Ayushmann!
1
“Khaamoshiyon Ka Mazaa Alag Hai,
Keh Kar Baat Bigaado Mat.”
2
“Neend laapata hai.
Tera pyaar thoda sakht hai yaa
Shayad mera takiya thoda naram.”
3
“Kisi din itminaan mein milna,
Main bahut alag hota hoon.
Masroofiyat mein toh bas alag thalag hota hoon.”
4
“Maine Doobte Sooraj Ko Salam Kiya Hai,
Shayad Tabhi Hathon Ki Lakeeron Ko Apna Ghulam Kiya Hai.”
5
“Hasna chahu toh bhi hasne nahi deta mujko,
Aisa lagta hain koi mujhse khafa hain mujhme.”
6
“Raastey Khoobsurat hain tumhare saath,
Manzil ki filhaal baat nahi kartey.”
7
“Pehle Dost Baney,
Dost Se Jaan Baney,
Jaan Se Anjaan Baney,
Aur Bas Zindagi Aagey Badh Gayi.”
8
“Bina soche likh deta hu main.
Muft taarif paa leta hu main
Jyaada soch kar gar likhu
Toh Ganit ke sawaal sa dikhu.”
9
“Tum is sheher ki rivaayat se anjaan ho dost,
Yahaan yaad rehne ke liye yaad dilaana padta hai.”
10
“Yeh toh parindo ki maasoomiyat hain warna,
Dusro ke gharo mein ab aata jaata kaun hain.”